Waqt Ka Ye Parinda Ruka Hai Kahan

Waqt Ka Ye Parinda Ruka Hai Kahan Lyrics

Shikhar-Ghazals  by Jaswant Singh

Song  ·  3,508,438 Plays  ·  6:04  ·  Hindi

℗ 1995 Super Cassettes Industries Private Limited

Waqt Ka Ye Parinda Ruka Hai Kahan Lyrics

vaqt ka ye parinda rukaa hai kahaan?
main tha paagal jo isko bulaata raha
chaar paise kamaane main aayaa shahar
gaanv mera muje yaad aathaa raha
gaanv mera muje yaad aathaa raha

vaqt ka ye parinda rukaa hai kahaan?
main tha paagal jo isko bulaata raha
chaar paise kamaane main aayaa shahar
gaanv mera muje yaad aathaa raha
gaanv mera muje yaad aathaa raha
vaqt ka ye parinda rukaa hai kahaan?

lautataa tha main jab paathshaala se ghar
apanae haathon se khaanaa khilaati thi, maan
raat mein apanee mamata ke aanchal tale
thapakiya deke mujko sulaati thi, maan

soch ke dil mein ek tis uthati rahee
raat-bhar dard mujko jagaata raha
chaar paise kamaane main aayaa shahar
gaanv mera muje yaad aathaa raha
gaanv mera muje yaad aathaa raha
vaqt ka ye parinda rukaa hai kahaan?

sabaki aankhon mein ansu chhalak aaen the
jab ravaanaa hua tha shahar ke liye
kuch ne maangi duaayen ki main khush rahoon
kuch ne mandir mein jaakar jalaae dien

ek din main banunga badaa aadmi
ye tasawwur unhen gudgudaata raha
chaar paise kamaane main aayaa shahar
gaanv mera muje yaad aathaa raha
gaanv mera muje yaad aathaa raha
vaqt ka ye parinda rukaa hai kahaan?

maan ye likhti hai har baar khat mein muje
laut aa mere bete tuje hai qasam
too gaya jab se pardesh baichaiyn hoon
neend aatee nahin, bhook lagtee hai kam

kithna chaah naa rooon, magar kya karoon
khat meri maan ka mujko rulaata raha
chaar paise kamaane main aayaa shahar
gaanv mera muje yaad aathaa rahaan
gaanv mera muje yaad aathaa rahaan

vaqt ka ye parinda rukaa hai kahaan?
main tha paagal jo isko bulaata raha
chaar paise kamaane main aayaa shahar
gaanv mera muje yaad aathaa raha
gaanv mera muje yaad aathaa raha
gaanv mera muje yaad aathaa raha
gaanv mera muje yaad aathaa raha

Writer(s): Nikhil-vinay, Yogesh<br>Lyrics powered by www.musixmatch.com


More from Shikhar-Ghazals

Loading

You Might Like

Loading


FAQs for Waqt Ka Ye Parinda Ruka Hai Kahan