Episode image

1.17 Socho - Sustainability kyun? [Hindi]

Dhvani Podcast

Episode   ·  3 Plays

Episode  ·  3 Plays  ·  10:05  ·  Dec 13, 2020

About

Plastics pe humaari nirbharta(dependency) vatavaran ke liye ek bure sapne ki tarah hai, par hum kya kar rahein hain iske liye? Kaarobar badhta ja raha hai aur uske saath badh raha hai packaging ka waste, is pandemic ke dauran toh aur bhi. Bade roop ka badlaav, badi companiyan aur sarakar la sakti hain shayad, par mujhe lagta hai ki vyaktigat star pe bhi hum bahut kuch kar sakte hain, bhale he woh humaari apni antaraatma ke liye he kyun na ho. Aur ye mushkil bhi nahi hai, hume bas thoda sa peeche jana hai samay mein, aur apne paramparaagat tareekon ko seekhna hai. Aap kaise dekhte hain sustainability ko? Socho! Aap mujhse jud sakte hain Instagram pe - instagram.com/par.cha ya fir voice note bhej sakte hain facebook pe  - facebook.com/chauhan.parth. Agar aap apni dhvani ko ek anukool manch dena chaahte hain ya fir mere saath kaam karna chahengey, toh email likhiye info.dhvani@co.in pe aur log on kariye www.dhvani.co.in/podcast, aur jaan ne ke liye. Google bhi kar sakte hain ‘Dhvani Podcast’. Lauren Singer's 4 years of waste in a jar - https://www.youtube.com/watch?v=BxKfpt70rLI Discord par Dhvani ka Server - https://discord.gg/74AZRaB Aap mere liye chai ya coffee khareed kar mujhe support kar sakte hain - www.buymeacoffee.com/parthchauhan --- Support this podcast: https://podcasters.spotify.com/pod/show/parth-chauhan/support

10m 5s  ·  Dec 13, 2020

© 2020 Podcaster