Episode image

S03E06 Guftagu Sharaab Par - Zahid sharaab peene de, masjid me baith kar

Bait Ul Ghazal - Urdu & Hindi Poetry

Episode   ·  9 Plays

Episode  ·  9 Plays  ·  5:04  ·  Mar 3, 2024

About

S03E06 Guftagu Sharaab Par - Zahid sharaab peene de, masjid me baith kar Zahid sharaab peene de, masjid me baith kar Ya wo jagah bata, jahan khuda nahi ~ Mirza Ghalib Iss par Allama Iqbal saahab ka jawaab aata hai Masjid khuda ka ghar hai, peene ki jagah nahi Kaafir ke dil me jaa, wahan khuda nahi ~ Allama Iqbal Us par Ahmad Faraz saahab ki daleel suniye Kaafir ke dil se aaya hoon main, ye dekh kar Khuda maujood hai wahan, par usse pata nahi ~ Ahmad Faraz Iske baad Wasi Shah kehte hain Khuda toh maujood hai, duniya mein har jagah Tu jannat mein jaa, wahan peena mana nahi ~ Wasi Shah Saqi Farooqi saahab ne uss par kaha Peeta hu gam-e-duniya bhulane ke liye saqi Jannat mein kaunsa gam hai? Isliye wahan peene mein, maza nahi ~ Saqi Farooqi Inam ul Haq saahab kya kehte hain iss par, yeh suniye Sharaab sharaab karte ho, phir peene se kyun darte ho? Agar khauf-e-khuda hai dil mein, toh zikr hi kyun karte ho? ~ Inam ul Haq

5m 4s  ·  Mar 3, 2024

© 2024 Podcaster